• Breaking News

    Hindi Technology

    How to make money free website kaise banye

    2 3 Indian Flag Cursor Blog or Website ke liye

    शुक्रवार, 27 जनवरी 2017

    Free WiFi or Password Pata kare Mobile Me (WiFi Map)

    Free Wifi ka password kaise pata kare ye Har uss Mobile user ka Sabal hota hai jo Free WiFi Use karna chata hai. Bhut logo ne mujse pucha hai wifi password kaise pata kare ya wifi ka password maloom karna software kaa naam batao.. wifi ka password todna.. Q ki sab ko Free ki chij use karna bhut Pasand hai.


    Agar Aap kahi bhar hai or aapke Mobile me Internet nahi hai or aap Internet chalana chate hai to sidhi si baat hai aap kahi Wi-Fi Hotspot search karege jo Free ho ya fir aapko uska password pata ho.
    Aaj kal Hotels, Dukhan, Cafe, Railway station, Bus Stops, Ghar har jagha Hotspots lage hote hai bas jarurat hai to unki location pata karne ki or Hotspot Search karna koi badi baat to nahi hai aap Apne Mobile ya Computer ka WiFi on karke kahi jayege or agar kisi hotspot ka Signal milege to aapklo pata chal jayega or aap usse connect kar sakte hai agar usme password nahi hai ya fir aapko uska password pata hai. Par iss process me bhut time lagega.
    Me aapko ek aese App ke ware me batane wala hu jisme Aap Map par dekh sakte hai kaha par wifi hai or agar WiFi me Password dala hai to uska Password kya hai. App ka Naam hai WiFi Map jisme Duniya bhar ke WiFi ki locations hai. Isme 30 Crore logo ne use kiya hai or bhut se WiFi ki detail isme mojud hai.

    WiFi Map Kaam kaise karta hai

    WiFi Map App use karne se phele ye jaan lete hai akhir ye kaam kaise karta hai. WiFi Map App Android or iPhone users ke liye hai. Iss App ko Mobile me install karne ke baad jo user hai wo apna account usme bana sakta hai.
    Fir hota hai ye jese aap kahi gaye kisi hotel me, ya kisi cafe me jaha aapko free WiFi mila ya fir aapko uska Password pata chala to aap usko WiFi Map App me save kar sakte hai. Isse hoga ye ki Map ye uss location par aapke duaara save kiya WiFi or uska Password Show hoga..
    Tikh issi trha Jitne bhi log Iss App ko use karte hai wo WiFi ki detail usme dalte rhete hai.
    WiFi Map App ki ek khaas baat ye hai ki isme aapki jo city hai aap wha ke jitne bhi WiFi hai usko offline bhi save karke rakh sakte hai, taki jab aapke Mobile me net khatam ho gaya ho jab bhi aap WiFi ki location dekh sake.
    WiFi Map me Mobile ki Location bhi Track hoti hai GPS ki madad se to ham aasani se Jaha Wifi mojud hai waha phuch sakte hai.

    WiFi Map ko Install kare Apne Mobile me

    Ye jo App hai wo Android or Iphone ke liye mojud hai to aap apne mobile me isko aasani se Playstore or itune se download kar sakte hai.
    Ummid hai aapko Ye Aap Pasand aayega or aap iski madad se Free WiFi ka maja utha payege. Agar aapka koi sabal ya sujab hai to comment jarur kare.

    कोई टिप्पणी नहीं:

    Fashion

    Beauty

    Travel